Hi dosto, 
Agar hamainn blogging life main carrier behatar banaana hai to is ke lie hamen blogging guide ke baare mein malomaat rakhana hota hai isamen bahut se part hote hai. Jaise ke SEO, content, design, webmaster, analytics waghera. Lekin in sab ke ilaawa do aor basic lekin sab se important part hote hai.

  1. Custom Domain
  2. Web Hosting

What is Custom Domain?

Jab ham pehli baar blogging se shuru karte hain to hamainn do tarah ke domain ka naam sunane ko milata hai.

  • Sub-Domain yani Free domain
  • Custom Domain yani Paid Domain

Jb hm new hote hai aur hamain apna blog bnana hota hai to isake lie ham bloggair platform ka use kar ke ek free domain par blog banaate hai. Jisaka url kuch is trah hota hai.

ahsentech.blogspot.com

Ye ek free domain hai jise hm blogspot.com sub-domain bhi keh sakate hai. google blogger ki traf se yeh service hamainn bilkul free milti hai. Isake saath aur bhi bahut se platform hai jahan hamain free subdomain mil sakta hai jaise ke tumblr, weebly etc.

Hum in sub-domain ka use kar ke apna blog to bana lete hai lekin jab ham blogging ke baare mein thori maloomat haasil kar lete hai aur career mein aur aage barhate hai to hamain zarurat hoti hai apni khud ki ek domain name, ham use jaha chahy vaha migrate kar sake, ham use sirf apna naam de sake.

ek aisa domain jisame sirf hamaare traf sy diya gya  gaya naam ho . Aise domain ko kehte hai custom ya paid domain. kyon ki yeh free nahin milte hai hamain yearly charges pay karna hota hai is tarah ke domain ke lie.

What is Web Hosting?

Is ke baare mein new bloggers bohat hi kam jaante hai kyon ki jab ham blogger pr pehli baar apna free website banaate hai to yeh hamainn bilkul free mein mil jaata hai unlimited features ke saath, Lekin jab hm professionally custom ke saath wordpress jaise CMS ka use kar ke apne blog ka setup karne ke lie jaate hai to is ke lie hmain ek hosting ki zarurat hoti hai.

Jaha par ham apne domain ko setup kar sake aur post ko update kar sake. Aaj ke waqt mein wordpraiss blog host karane ke lie bahut se tarah ke web hosting services available hai.

  • Shared Hosting
  • VPS Hosting
  • Cloud Hosting

How to Buy Custom Domain in Cheap Price?

Ab bhee ham custom domain khareedne jate hai to hamain dhyaan rakhna hota hai kee ham domain kis platform ke lie buy karna chaahate hai. jaise ke…
  • Agar ham blogger ke lie custom domain buy karna chaahate hai to isake lie hamainn web hosting ke Zarurat nahin hoti hai. Aise mein blogger ke lie agar hamain cheap price domain buy karna hai to is ke lie agaly process pr amal krna hoga.
  • Agar ham wordpress ke lie custom domain khareedna chaahate hai to is ke lie hamain ek web hosting ki bhi Zarurat hogi aur is ke lie hamain agly process ko follow karana hoga.
Main yahan blogger aur wordpress ke lie alag tareeke se domain khareedne ke baare mein malomat provide karta hoon jo bhi aap ke asaan lgta ho ap us tareeke ka use kar ke domain khareede.

How to Buy Cheap Price Domain for Blogger?

Agar ham google blogger par hi apna custom domain setup karna chaahte hai to is ke lie hamain hosting buy karne ki Zarurat nahin hai. Aise mein ham Bigrock  se domain khareed sakte hai kyoki yahaan par hamain chheap price mein domain bhi mil jaayega aur saath iska support bhe bahut acha hai.

How to Buy Cheap Price Domain for Wordpress?

Agar hamain apna blog wordpress par setup karna hai to is ke lie hamain custom domain ke saath-saath web hosting ki bhi zarurat hogi. Aise mein hamain ek aisa service chaahie jaha se ham sabse saste mein domain buy kar sake aur saath mein hosting bhi.

Godaddy ka sabse common naam hai hosting aur domain ke lie lekin yahaan par na to hamain kam price mein domain milata hai aur na behtar hai is ,lie agar aapako cheap price mein custom domain buy karna hai to aapko in tips ko follow karna hoga,

  • Agar hamain apna blog wordpress par setup karna hai to iske lie hamain custom domain agar aapko kam paise apane blog ke lie custom domain chaahie to aap domain aise jagah se khareede jaha se aapko hosting bhi khareedna ho. Kyoki is se aap ko domain kam price mein bhi mil jaayega.
  • Domain buy karte waqt hamain us waqt ke discount domain coupon ke baare mein zarur pata karna chaahie hai ke kaun se websita par behtar offer chal raha hai is se ham 50% tak paise bacha sakte hai. Find domain discount coupon
Ham sab hi aksar dekhty hai ke bahut se websita par pahle to domain ka price kam show hota hai lekin jaise ham use buy karne jaate hai uska price barh jaata hai. But mainy ke service ka use kiya jaha par price bilakul samai rakhata hai aur mainne yahaan se ek website ke lie 1,106.99 rupaye pay karke custom domain aur hosting donon khareeda.
Dosto, agar aap cheap price custom domain buy karna chaahate hai specially wordpress blog setup ke lie to Hostiger  sabase best hai yahaan par aapko affordable price mein hosting aur domain donon mil jaayega.